sarhad-e-gul se nikal kar hum juda ho jaenge
kal tumhaari qaid-e-KHushbu se riha ho jaenge
zehn mein ehsas-e-ruKHsat hi na hoga sham tak
baDhte baDhte din ke lamhe yun hawa ho jaenge
chhoD jao daman-e-imroz mein bhi kuchh na kuchh
warna tum se tair-e-farda KHafa ho jaenge
jab na ho kar-e-nafas to phir hamare sath sath
ye zamin-o-asman donon fana ho jaenge
samne hai saat-e-aKHir ka an-dekha azab
umr-bhar kahte rahe ab be-nawa ho jaenge

Ghazal
Sarhad-e-gul se nikal kar hum juda ho jaenge
Hameed Almas