اردو हिंदी
Sarhad-e-awaz dil ka dur se patthar na dekh | Shaahi Shayari
sarhad-e-awaz dil ka dur se patthar na dekh

Ghazal

Sarhad-e-awaz dil ka dur se patthar na dekh

Naseeruddin

;

sarhad-e-awaz dil ka dur se patthar na dekh
tair-e-shauq-e-nawa tufan ke tewar na dekh

matla-e-anwar hai go aaj tera aasman
Dubte suraj ki kirnon ko magar tan kar na dekh

de lab-e-KHamosh tak aai hui baaton pe dhyan
gar sar-e-mizhgan khula ek dard ka daftar na dekh

barg-e-KHushk-o-tar rah-e-zer-o-zabar ek wahima
ai ada-e-kajrawi ab shoKHi-e-sarsar na dekh

us ke jalwon se pare ek dard ki aawaz sun
KHwab ki tabir se Dar KHwab ka mehwar na dekh

saf-goi juzw-e-iman hai to 'nasir' be-jhijak
ji mein jo aa jae kah de jaanib-e-mimbar na dekh