اردو हिंदी
Sarguzisht-e-dil ko rudad-e-jahan samjha tha main | Shaahi Shayari
sarguzisht-e-dil ko rudad-e-jahan samjha tha main

Ghazal

Sarguzisht-e-dil ko rudad-e-jahan samjha tha main

Shakeel Badayuni

;

sarguzisht-e-dil ko rudad-e-jahan samjha tha main
muKHtasar si baat ko ek dastan samjha tha main

ban gai mere liye ek iztirab-e-mustaqil
jis mohabbat ko sukun-e-qalb-o-jaan samjha tha main

wo bhi meri gardish-e-taqdir ka ek daur tha
jis ko ab tak inqilab-e-asman samjha tha main

wo to ye kahiye mohabbat ne hi aankhen khol din
zindagi ko warna ek raaz-e-nihan samjha tha main

rashk rah rah kar na kyun aae nasib-e-ghair par
wo usi mahfil mein shamil the jahan samjha tha main

tha haram ki sarzamin par lutf-andoz-e-sujud
yani kabe ko tumhaara aastan samjha tha main

wadi-e-ghurbat mein yun gum-karda manzil tha 'shakil'
rahzan-e-manzil ko KHizr-e-karwan samjha tha main