sargarm-e-tamasha tha dil mahw-e-ada barson
samjha hi nahin nadan mafhum-e-wafa barson
aashufta-mizaj aaKHir jaen to kahan jaen
har gam pe yaron ne dhoka hi diya barson
ek bar guzarta hai dil dard ki rahon se
rag rag se taDapti hai tasir-e-dua barson
wo aalam-e-madhoshi wo masti-e-rindana
gul-rang jawani thi kya hosh-ruba barson
aaghosh-e-tasawwur mein sau bar go aate hain
lekin na qarib aae wo jaan-e-haya barson
go 'mir' ke nalon mein tasir-e-junun kam thi
aisa bhi kahan hoga ab shoala-nawa barson
Ghazal
Sargarm-e-tamasha tha dil mahw-e-ada barson
Meer Basheer