اردو हिंदी
Sardi-o-garmi-o-barsat mein aa jata hai | Shaahi Shayari
sardi-o-garmi-o-barsat mein aa jata hai

Ghazal

Sardi-o-garmi-o-barsat mein aa jata hai

Mohammad Abid Ali Abid

;

sardi-o-garmi-o-barsat mein aa jata hai
mujh se milne wo mazafat mein aa jata hai

fasl-e-gul aane pe ho jati hai virani dur
dil KHarabe se KHarabaat mein aa jata hai

kabhi danista ada ho kabhi na-danista
nam tera meri har baat mein aa jata hai

jism ki nashw-o-numa surat-e-ashiya-e-zamin
ru-e-KHuban falakiyyat mein aa jata hai

ishq ka sabr-o-tahammul hi se qaem hai waqar
nala fariyaad KHurafat mein aa jata hai

KHidmat-e-KHalq se hoti hai KHuda ki KHidmat
ishq maKHluq-e-ibaadat mein aa jata hai

banda ho jata hai jab KHugar-e-mushkil 'abid'
zaiqa talKHi-e-haalat mein aa jata hai