اردو हिंदी
Sardi garmi barkha tinon ek sath hi baste hain | Shaahi Shayari
sardi garmi barkha tinon ek sath hi baste hain

Ghazal

Sardi garmi barkha tinon ek sath hi baste hain

Prem Bhandari

;

sardi garmi barkha tinon ek sath hi baste hain
tere badan mein wo jadu hai sare mausam rahte hain

tere mere beach nahin hai KHun ka rishta phir bhi kyun
teri aankh ke sare aansu meri aankh se bahte hain

ek zamana bita tere pyar ke jangal se nikle
yaad ke sanp to tanhai mein aaj bhi mujh ko Daste hain

wada kar ke bhul bhi jaana ye to teri aadat hai
main hi nahin kahta hun aisa log bhi aksar kahte hain