sard rishton ki barf pighli hai
dhup muddat ke baad nikli hai
nind aankhon se ye churaegi
gasht par yaad phir se nikli hai
har nai lahr mein naya pani
wo jo pichhli thi ab wo agli hai
rang wo hi bharegi donon mein
apni yaadon ki wo jo titli hai
phuT pani mein paD gai hai kya
lahr dariya banane nikli hai
mere jine ko bas ye hai kafi
tu hai barish hai aur titli hai
be-KHayali mein gir paDi hogi
wo nahin jaanti wo bijli hai
chand ko chug gaya tha ek panchhi
chandni phir kahan se nikli hai
wajh tum hi the mere jine ki
wajh ab bhi kahan ye badli hai
uDti hai gham liye paron par jo
kaisi KHush-rang si wo titli hai
tujh se taswir teri achchhi hai
baad muddat bhi wo na badli hai
Ghazal
Sard rishton ki barf pighli hai
Puja Bhatia