sard na kar mazaq-e-ishq be-KHudi-e-namaz mein
aankh ko durbin bana jalwa-gah-e-majaz mein
raaz-e-nizam-e-kaenat un ki nigah-e-naz mein
asliyyat-e-KHuda nihan meri KHudi ki raaz mein
phir tujhe DhunDh legi KHud zarf-shanas barq-e-tur
shauq-e-kalim shart hai ishq ke soz-o-saz mein
ya to KHudi ko bhul ja ya phir usi ko bhul ja
hiss-e-mughairat na rakh bargah-e-niyaz mein
KHirman-e-kaenat ko phunk na de yahi sharar
soz hi soz hi faqat meri KHudi ki saz mein
quwwat-e-zabt wassalam taqat-e-sabr alwidaa
phir wahi irtiash hai un ki nigah-e-naz mein
mujh ko na aazmaiye hashr bapa na kijiye
shor-e-nushur hai nihan nala-e-jaan-gudaz mein
tur ko KHak kar gaya shams ka KHun-baha gaya
lakh chhupa na chhup saka husn harim-e-naz mein
talib gham-nasib ka husn-e-talab to dekhiye
aarzu-e-firaq hai daur-e-wafa-e-naz mein

Ghazal
Sard na kar mazaq-e-ishq be-KHudi-e-namaz mein
Talib Baghpati