اردو हिंदी
Sard-mehri se teri dil jo tapan rakhte hain | Shaahi Shayari
sard-mehri se teri dil jo tapan rakhte hain

Ghazal

Sard-mehri se teri dil jo tapan rakhte hain

Ashk Rampuri

;

sard-mehri se teri dil jo tapan rakhte hain
hama-tan barf hain aahon mein dhuan rakhte hain

sail-e-gham aankh ke parde mein nihan rakhte hain
na-tawan bhi tere kya tab-o-tawan rakhte hain

farsh-e-rah kis ke liye hum dil-o-jaan rakhte hain
KHub-ru panw zamin par hi kahan rakhte hain

baat mein baat usi ki hai suno tum jis ki
yun to kahne ko sabhi munh mein zaban rakhte hain

jab se dushwar hua sans ka aana jaana
hum nigahon mein jahan-e-guzaran rakhte hain

kis se bedardi-e-ahbab ka shikwa kije
nam be-tabi-e-dil ka KHafaqan rakhte hain

aankh kholi hai to sayyaad ke ghar kholi hai
hum qafas par hi nasheman ka guman rakhte hain

phul bhi munh se jhaDen baat bhi kanTe ki rahe
ye ada aur suKHan-saz kahan rakhte hain

log rote bhi hain turbat mein liTa kar ai 'ashk'
aur sine pe bhi ek sang-e-giran rakhte hain