sard hawa hai nauhagar raat bahut guzar gai
ghaur se dekh chashm-e-tar raat bahut guzar gai
nind mein gum hain dasht-o-bagh bujh gae shahr ke charagh
aise mein jaun main kidhar raat bahut guzar gai
ab to simaT rahe hain sae lauT ke wo jawan na aae
dil mein ajib sa hai Dar raat bahut guzar gai
gunj rahi hai dur tak apne hi qadmon ki sada
suni paDi hai rahguzar raat bahut guzar gai
jashn-e-tarab hua tamam kushta-charagh-o-saz-o-jam
bikhre paDe hain farsh par raat bahut guzar gai
mahfil-e-dostan se kab uThne ko chahta hai dil
soch raha hun jaun ghar raat bahut guzar gai
jaga na ek shaKHs bhi meri nawa-e-dard se
nale gae hain be-asar raat bahut guzar gai
dil mein mere utar gai sahn-e-makan ki tirgi
bujh gai shama taq par raat bahut guzar gai
KHauf ke sae chaar-su ai mere yar mah-ru
aaj yahin qayam kar raat bahut guzar gai
so gae ghar ke sab makin par mere intizar mein
jag rahe hain baam-o-dar raat bahut guzar gai
ghar ki munDer se gai chand ki zard raushni
dur nahin hai ab sahar raat bahut guzar gai
Ghazal
Sard hawa hai nauhagar raat bahut guzar gai
Farasat Rizwi

