sard aaj-kal is darja zamane ki hawa hai
anjam ke ehsas se dil kanp raha hai
wo shakl jo aate hi nazar ho gai ghaeb
jadu hai ki bijli ki chhalawa ki bala hai
kashmir jise kahte hain sab ghairat-e-firdaus
jab tu hi nahin hai pas to dozaKH se siwa hai
kohsar par ye abr ke phirte hue sae
ek aalam-e-shadab tujhe DhunDh raha hai
gar baadila sar par hai to maKHmal hai tah-e-pa
al-qissa ajab manzar-e-pur-zeb-o-ziya hai
aa aur meri chashm-e-tasawwur mein sama ja
aaina tera der se be-aks paDa hai
ai 'fauq' main hun is liye muhtaj-e-rifaqat
tanha rah-e-manzil mein koi chhoD gaya hai
Ghazal
Sard aaj-kal is darja zamane ki hawa hai
Muhiuddin Fauq