sarapa tera kya qayamat nahin hai?
idhar hashr si dil ki haalat nahin hai
mohabbat meri kya ibaadat nahin hai
wo ek nur hai jis ki surat nahin hai
tere in labon ko main tashbih kya dun?
ki phulon mein aisi nazakat nahin hai
hai chahat kahun rup tera ghazal main
magar mujh mein husn-e-KHitabat nahin hai
bayan ho rahi hai jo aankhon se teri
paDhi main ne aisi hikayat nahin hai
wo jab bolta hai madhur bolta hai
kisi shai mein aisi halawat nahin hai
main tarif teri karun bhi to kaise?
zaban-o-bayan par wo qudrat nahin hai
hai 'alok' meri ghazal jaan-e-mahfil
par us ko jo bhae wo rangat nahin hai
Ghazal
Sarapa tera kya qayamat nahin hai?
Alok Yadav