sarab-e-zist mein simTa hua hun
samundar hun magar qatra-numa hun
KHuda se mil ke KHud main aa gaya hun
ab aaine ko sajda kar raha hun
tumhein bhi dost apna jaanta hun
baDi KHush-fahmiyon mein mubtala hun
junun hun ya KHirad ki intiha hun
na samjha aaj tak KHud bhi main kya hun
haqiqat ko fasana kaise kah dun
fasane ko haqiqat kah chuka hun
zamana mujh mein KHud ko dekhta hai
hazaron suraton ka aaina hun
Ghazal
Sarab-e-zist mein simTa hua hun
Mukhtar Hashmi