اردو हिंदी
Sarab-e-mani-o-mafhum mein bhaTakte hain | Shaahi Shayari
sarab-e-mani-o-mafhum mein bhaTakte hain

Ghazal

Sarab-e-mani-o-mafhum mein bhaTakte hain

Aslam Mahmood

;

sarab-e-mani-o-mafhum mein bhaTakte hain
kuchh aise lafz jo shayad azal se pyase hain

samaaton ko abhi yun hi muntazir rakhna
pas-e-ghubar-e-KHamoshi hazar naghme hain

andhere kitne hi saffak hon ki zalim hon
magar charagh ki nannhi si lau se Darte hain

ye kis KHayal ki lau se lipaT rahi hai hawa
ye kis ki yaad ke sae se thartharaate hain

yahi nahin ki kisi yaad ne malul kiya
kabhi kabhi to yunhi be-sabab bhi roe hain

bikhar ke bhi to hamein aaina hi rahna hai
harif-e-sang kahin TuTne se Darte hain

safar the panw mein 'aslam' to manzilen sar mein
magar ab apni hi parchhaiyon se lipTe hain