sarab-e-dil se musalsal fareb kha raha hun
main ek umr se apne KHilaf ja raha hun
yaqin-o-shak ki ajab kaifiyat se hun do-chaar
bichha raha hun musalla kabhi uTha raha hun
mera ghurur hai ye KHak-zadgi meri
main phir farishto tumhein baat ye bata raha hun
tilism-e-lafz-o-maani ke pher mein phans kar
ba-shakl-e-nazm-o-ghazal KHun-e-dil baha raha hun
KHiyam-e-ashk mein jhulsi paDi hai koi mushk
main apni pyas ka qissa use suna raha hun
bhula ke sare taqaze radif-e-maut ke main
faqat hayat ka har qafiya nibha raha hun
Ghazal
Sarab-e-dil se musalsal fareb kha raha hun
Nadeem Sirsivi