sar uTha ke mat chaliye aaj ke zamane mein
jaan jati rahti hai hausla dikhane mein
kis se haq talab kije bewafa zamane mein
honTh sukh jate hain haal-e-dil sunane mein
hath ki lakiron se faisle nahin hote
azm ka bhi hissa hai zindagi banane mein
kho gae kahan mere eatibar ke rishte
kis ne bo diye kanTe phul se gharane mein
manzilon ki baaten to KHwab jaisi baaten hain
umr bit jati hai rasta banane mein
ai 'bashar' meri aankhen jugnuon ki aadi thin
kis ne bijliyan rakh din mere aashiyane mein
Ghazal
Sar uTha ke mat chaliye aaj ke zamane mein
Charan Singh Bashar