اردو हिंदी
Sar uTha kar na kabhi dekha kahan baiThe the | Shaahi Shayari
sar uTha kar na kabhi dekha kahan baiThe the

Ghazal

Sar uTha kar na kabhi dekha kahan baiThe the

Hasan Kamal

;

sar uTha kar na kabhi dekha kahan baiThe the
girti diwar ka saya tha jahan baiThe the

sab the masruf andheron ki KHaridari mein
hum sajae hue shamon ki dukan baiThe the

yahi shohrat ka sabab honge ye malum na tha
hum chhupae hue zaKHmon ke nishan baiThe the

log to bujhte charaghon ke dhuen se KHush the
hum hi be-kar jalae hue jaan baiThe the

mai-kada aur bhi tanhai ka saman nikla
hum ki tanhai se tang aa ke yahan baiThe the