اردو हिंदी
Sar-ta-ba-qadam KHun ka jab ghaza laga hai | Shaahi Shayari
sar-ta-ba-qadam KHun ka jab ghaza laga hai

Ghazal

Sar-ta-ba-qadam KHun ka jab ghaza laga hai

Hazin Ludhianvi

;

sar-ta-ba-qadam KHun ka jab ghaza laga hai
tab zaKHm ki gahrai ka andaza laga hai

ye raat ka jangal ye KHamoshi ye andhera
patta bhi jo khaDka hai to aawaza laga hai

malum nahin mera khula dasht kahan hai
sahra ka KHala bhi mujhe darwaza laga hai

ehsan ye kuchh kam to nahin gul-badanon ka
jo zaKHm hai sine pe gul-e-taza laga hai

yakja hue yaadon ke umaDte hue paikar
phir muntashir apna mujhe shiraaza laga hai