sar-ta-ba-qadam ek hasin raaz ka aalam
allah re ek fitnagar-e-naaz ka aalam
zulfon mein wo barsat ki raaton ki jawani
aariz pe wo anwar-e-sahar-saz ka aalam
unwan-e-soKHan 'ghaalib' o 'momin' ka taghazzul
andaz-e-nazar baada-e-shiraaz ka aalam
duz-dida nigahon mein ek ilham ki duniya
nazuk se tabassum mein ek ejaz ka aalam
uljhe hue jumlon mein shararat bhi haya bhi
jazbaat mein Duba hua aawaz ka aalam
is sadgi-e-husn mein kis darja kashish hai
har naz mein ek jazba-e-ghammaz ka aalam
us said ko kya kahiye jo KHud aae tah-e-dam
dil mein liye ek hasrat-e-parwaz ka aalam
yun to na tasahul na taghaful na tajahul
kuchh aur hai us kafir-e-tannaz ka aalam
shoKHi mein shararat mein matanat mein haya mein
jo raaz ka aalam tha wahi raaz ka aalam

Ghazal
Sar-ta-ba-qadam ek hasin raaz ka aalam
Taban Ghulam Rabbani