اردو हिंदी
Sar shama san kaTaiye par dam na mariye | Shaahi Shayari
sar shama san kaTaiye par dam na mariye

Ghazal

Sar shama san kaTaiye par dam na mariye

Haidar Ali Aatish

;

sar shama san kaTaiye par dam na mariye
manzil hazar saKHt ho himmat na haariye

maqsum ka jo hai so wo pahunchega aap se
phailaiye na hath na daman pasariye

talib ko apne rakhti hai duniya zalil o KHwar
zar ki tama se chhante hain KHak niyariye

tanhai hai gharibi hai sahra hai KHar hai
kaun aashna-e-haal hai kis ko pukariye

tum fatiha bhi paDh chuke hum dafn bhi hue
bas KHak mein mila chuke chaliye sidhaariye