sar se utre nahin phul manzil ki dhun ham-safar baat sun
rah mein KHar aaen to talwon se chun ham-safar baat sun
dhup mein to safar saKHt dushwar hai be-shajar rah ka
sar ki KHatir koi soch saya hi bun ham-safar baat sun
rabta apna zarKHez miTTi se rakh aur sarsabz rah
kha gaya kitne sukhe daraKHton ko ghun ham-safar baat sun
kuchh bata dil ki dilli se kis lucknow ki taraf ja basen
kaun basti hai jis par barasta hai hun ham-safar baat sun
har qadam par amir is tarah Thaharna sochna kis liye
waqt chhalni hai aur is mein pani na pun ham-safar baat sun

Ghazal
Sar se utre nahin phul manzil ki dhun ham-safar baat sun
Raoof Ameer