sar se junun-e-ishq ka sauda nikaliye
ya apne dil se KHwahish-e-duniya nikaliye
ya hath bandh lijiye duniya ke samne
ya hath khol kar yad-e-baiza nikaliye
ya mom ban ke KHud ko hawadis mein Dhaaliye
ya sang se sharar-e-tamanna nikaliye
ya pyas apni abr-e-karam se bujhaiye
ya KHud pahaD kaT ke dariya nikaliye
ye kya ki sari umr ba-tarz-e-janabe-shaiKH
pagDi se apni ilm ka turra nikaliye
tahqiq mein to baal ki bhi khaal khinchiye
taKHliq mein pahaD se chuha nikaliye
taqat ke aage garba-e-miskin ki myaun myaun
na-taqati ko dekh ke panja nikaliye
nahaq ki wah wah mein taqrir-e-dil-pazir
haq ke KHilaf aql ka shosha nikaliye
bebak hai jo 'baqar'-e-ashufta-sar bahut
kuchh us ki sarzanish ka bahana nikaliye

Ghazal
Sar se junun-e-ishq ka sauda nikaliye
Sajjad Baqar Rizvi