sar pe harf aata hai dastar pe harf aata hai 
tang hon log to sardar pe harf aata hai 
waise to main bhi bhula sakta hun tujh ko lekin 
ishq hun so mere kirdar pe harf aata hai 
ghar ki jab baat nikal jati hai ghar se bahar 
dar pe harf aata hai diwar pe harf aata hai 
kitna be-bas hun ki KHamosh mujhe rahna hai 
bolta hun to mere yar pe harf aata hai 
chup jo rahta hun to hun barsar-e-mahfil mujrim 
arz karta hun to sarkar pe harf aata hai 
shikwa-e-jaur-o-jafa lab pe agar aa jae 
dil pe harf aata hai dildar pe harf aata hai
        Ghazal
Sar pe harf aata hai dastar pe harf aata hai
Fartash Syed

