اردو हिंदी
Sar par sat aakash zamin par sat samundar bikhre hain | Shaahi Shayari
sar par sat aakash zamin par sat samundar bikhre hain

Ghazal

Sar par sat aakash zamin par sat samundar bikhre hain

Rahat Indori

;

sar par sat aakash zamin par sat samundar bikhre hain
aankhen chhoTi paD jati hain itne manzar bikhre hain

zinda rahna khel nahin hai is aabaad KHarabe mein
wo bhi aksar TuT gaya hai hum bhi aksar bikhre hain

us basti ke logon se jab baaten kin to ye jaana
duniya bhar ko joDne wale andar andar bikhre hain

in raaton se apna rishta jaane kaisa rishta hai
ninden kamron mein jagi hain KHwab chhaton par bikhre hain

aangan ke masum shajar ne ek kahani likkhi hai
itne phal shaKHon pe nahin the jitne patthar bikhre hain

sari dharti sare mausam ek hi jaise lagte hain
aankhon aankhon qaid hue the manzar manzar bikhre hain