sar-nigun dil ki tarah dast-e-dua ho bhi chuke
silsile jin ke juda the wo juda ho bhi chuke
dasht mein aaya nahin naqa-e-mahmil-bar-dosh
naqsh kuchh surat-e-naqsh-e-kaf-e-pa ho bhi chuke
naKHl-e-ummid raha phir bhi numu se mahrum
jab ki mausam kai aaghosh-kusha ho bhi chuke
ek be-nam si hasrat hai badan mein baqi
jis qadar qarz the shab ke wo ada ho bhi chuke
KHwahish-e-uqda-kushai pe nadamat kaisi
rasm-e-naKHun se KHafa band-e-qaba ho bhi chuke
ab to bas ek tasalsul hai talluq ka daraaz
imtihan ho bhi chuka wade wafa ho bhi chuke
kab tak ai baad-e-saba tujh se tawaqqoa rakkhun
dil tamanna ka shajar hai to hara ho bhi chuke
main to ek gunj mein zinda hun sar-e-bazm 'razi'
jin ko hona tha yahan naghma-sara ho bhi chuke
Ghazal
Sar-nigun dil ki tarah dast-e-dua ho bhi chuke
Khwaja Razi Haidar