اردو हिंदी
Sar mila hai ishq ka sauda samane ke liye | Shaahi Shayari
sar mila hai ishq ka sauda samane ke liye

Ghazal

Sar mila hai ishq ka sauda samane ke liye

Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

;

sar mila hai ishq ka sauda samane ke liye
aankhen din insan ko aansu bahane ke liye

us ka hansna yaad aata hai rulane ke liye
kuchh bahana chahiye aansu bahane ke liye

koi zahid ban gaya hai koi waiz ban gaya
kaise kaise swang hain roTi kamane ke liye

naqd-e-dil ko warte hain hum lab-e-pan-KHurda par
nazr lae hain tumhaare pan khane ke liye

mujh pe hai chashm-e-itab auron pe shafqat ki nazar
mujh ko izrail isa ho zamane ke liye

kaba-e-ummid ki tazim wajib thi zarur
hum ne bose 'sehr' us ke aastane ke liye