sar mein sauda bhi nahin dil mein tamanna bhi nahin
lekin is tark-e-mohabbat ka bharosa bhi nahin
dil ki ginti na yaganon mein na beganon mein
lekin us jalwa-gah-e-naz se uThta bhi nahin
mehrbani ko mohabbat nahin kahte ai dost
aah ab mujh se teri ranjish-e-beja bhi nahin
ek muddat se teri yaad bhi aai na hamein
aur hum bhul gae hon tujhe aisa bhi nahin
aaj ghaflat bhi un aankhon mein hai pahle se siwa
aaj hi KHatir-e-bimar shakeba bhi nahin
baat ye hai ki sukun-e-dil-e-wahshi ka maqam
kunj-e-zindan bhi nahin wusat-e-sahra bhi nahin
are sayyaad hamin gul hain hamin bulbul hain
tu ne kuchh aah suna bhi nahin dekha bhi nahin
aah ye majma-e-ahbab ye bazm-e-KHamosh
aaj mahfil mein 'firaq'-e-suKHan-ara bhi nahin
ye bhi sach hai ki mohabbat pe nahin main majbur
ye bhi sach hai ki tera husn kuchh aisa bhi nahin
yun to hangame uThate nahin diwana-e-ishq
magar ai dost kuchh aison ka Thikana bhi nahin
fitrat-e-husn to malum hai tujh ko hamdam
chaara hi kya hai ba-juz sabr so hota bhi nahin
munh se hum apne bura to nahin kahte ki 'firaq'
hai tera dost magar aadmi achchha bhi nahin
Ghazal
Sar mein sauda bhi nahin dil mein tamanna bhi nahin
Firaq Gorakhpuri