اردو हिंदी
Sar kiya zulf ki shab ko to sahar tak pahunche | Shaahi Shayari
sar kiya zulf ki shab ko to sahar tak pahunche

Ghazal

Sar kiya zulf ki shab ko to sahar tak pahunche

Gaffar Babar

;

sar kiya zulf ki shab ko to sahar tak pahunche
warna hum log kahan husn-e-nazar tak pahunche

aaj palkon pe meri jashn-e-charaghan hoga
kitne anmol guhar dida-e-tar tak pahunche

meri raaton ka andhera bhi duaen dega
ek sitara jo utar kar mere ghar tak pahunche

kaun kahta hai ki KHurshid utar kar aae
ek jugnu hi magar KHak-basar tak pahunche

jo bhi aae tere kuche mein wo jaan se guzre
sar hatheli pe uThae tere dar tak pahunche

hai usi sahib-e-mearaj ka ehsan ki hum
KHak ho kar bhi magar shams-o-qamar tak pahunche

main andheron ka musafir hun ujalon ka naqib
kis ki jurat hai meri gard-e-safar tak pahunche

ungliyan pahle qalam karna paDengi 'babar'
phir ye mumkin hai qalam harf-e-hunar tak pahunche