sar jhukata nahin kabhi shisha
hum se karta hai sar-kashi shisha
kurra-e-nar hai mera sina
shisha-e-dil hai aatishi shisha
dil mein rakkha tha us ko dil bhi gaya
uD gai le ke ek pari shisha
duKHtar-e-raz pe zor-e-alam hai
is pari se hua pari shisha
KHun rota hai qahqahe ke sath
KHub hansta hai ye hansi shisha
zaKHm-e-dil ka jo phaT gaya angur
hoega mai ka mustaji shisha
yaad aata hai mujh ko dil ai 'mehr'
dekhta hun main jab kabhi shisha
Ghazal
Sar jhukata nahin kabhi shisha
Hatim Ali Mehr

