sar jhuka kar shah ke darbar mein
chhed hum ne sau kiye dastar mein
zindagani jaisi ye anmol shai
kaT di hai hasrat-e-be-kar mein
damanon mein bharte hain mahrumiyan
le ke KHali jeb hum bazar mein
surKHiyan ban kar ugalti hai lahu
aadamiyat sham ke aKHbar mein
sar ko Takraate rahe hum umr-bhar
dar koi nikla nahin diwar mein
jis qadar bharta raha unchi uDan
aadmi girta gaya mear mein
sab parinde kar gae hijrat 'nabil'
kaun baiThe saya-e-ashjar mein

Ghazal
Sar jhuka kar shah ke darbar mein
Nabeel Ahmad Nabeel