اردو हिंदी
Sar-gashtagi mein aalam-e-hasti se yas hai | Shaahi Shayari
sar-gashtagi mein aalam-e-hasti se yas hai

Ghazal

Sar-gashtagi mein aalam-e-hasti se yas hai

Mirza Ghalib

;

sar-gashtagi mein aalam-e-hasti se yas hai
taskin ko de nawed ki marne ki aas hai

leta nahin mere dil-e-awara ki KHabar
ab tak wo jaanta hai ki mere hi pas hai

kijiye bayan surur-e-tap-e-gham kahan talak
har mu mere badan pe zaban-e-sipas hai

hai wo ghurur-e-husn se begana-e-wafa
har-chand us ke pas dil-e-haq-shanas hai

pi jis qadar mile shab-e-mahtab mein sharab
is balghami-mizaj ko garmi hi ras hai

har ek makan ko hai makin se sharaf 'asad'
majnun jo mar gaya hai to jangal udas hai

kya gham hai us ko jis ka 'ali' sa imam ho
itna bhi ai falak-zada kyun bad-hawas hai