اردو हिंदी
Sar-e-turbat kahin ek husn ki taswir dekhi hai | Shaahi Shayari
sar-e-turbat kahin ek husn ki taswir dekhi hai

Ghazal

Sar-e-turbat kahin ek husn ki taswir dekhi hai

Shiv Charan Das Goyal Zabt

;

sar-e-turbat kahin ek husn ki taswir dekhi hai
are o marne wale yun teri taqdir dekhi hai

sulagti aag ke dariya kiye tai Dub kar main ne
taDapti zindagi se bazi-e-shamshir dekhi hai

na bahlaen mujhe ab jhuTe wadon se mere rahbar
bahut kuchh aaj tak un ki rah-e-tadbir dekhi hai

pahaDon ko hila de munqalib kar de zamanon ko
nazar ne wo sada-e-halqa-e-zanjir dekhi hai

bana de mujh se jaise na-balad ko bhi jo ek shair
wo main ne hazrat-e-'maKHmur' mein tasir dekhi hai

gharibi muflisi bechaargi gham ki hirasani
ba-andaz-e-jali har samt ye tahrir dekhi hai

jo aahan mom kar de aur patthar ko bhi pighla de
janab-e-'zabt' ki baaton mein wo tasir dekhi hai