sar-e-taslim hai KHam izn-e-uqubat ke baghair
hum to sarkar ke maddah hain KHilat ke baghair
sar-barahna hun to kya gham hai ki ab shahr mein log
barguzida hue dastar-e-fazilat ke baghair
dekh tanha meri aawaz kahan tak pahunchi
kya safar tai nahin hote hain rifaqat ke baghair
ishq mein 'mir' ke aadab na barto ki yahan
kaam chalta nahin ailan-e-mohabbat ke baghair
ret par thak ke gira hun to hawa puchhti hai
aap is dasht mein kyun aae the wahshat ke baghair
Ghazal
Sar-e-taslim hai KHam izn-e-uqubat ke baghair
Irfan Siddiqi