اردو हिंदी
Sar-e-shorida pa-e-dasht-e-paima sham-e-hijran tha | Shaahi Shayari
sar-e-shorida pa-e-dasht-e-paima sham-e-hijran tha

Ghazal

Sar-e-shorida pa-e-dasht-e-paima sham-e-hijran tha

Bayan Meeruti

;

sar-e-shorida pa-e-dasht-e-paima sham-e-hijran tha
kabhi ghar tha bayaban mein kabhi ghar mein bayaban tha

tere kushte ko mahshar KHwab-e-asaish ka saman tha
ki sur afsana-go tha zalzala gahwara-jumban tha

jise sab nuh ke farzand kahte hain ki tufan tha
kisi jaan-dada-e-KHamosh ka andoh-e-pinhan tha

bala se chur kar do chur kar do shisha-e-dil ko
isi mein qaid hasrat thi isi mein band arman tha

na kholi aankh waqt-e-naza bimar-e-mohabbat ne
kisi ka parda rakhna tha koi aankhon mein pinhan tha

akele ai buto hum bhi na soe kunj-e-marqad mein
jo is pahlu mein hasrat thi to us pahlu mein arman tha

gae the raundne dil ko liye baiThe hain talwon ko
faro rag rag mein nashtar the nihan nas nas mein paikan tha

meri hasti ki mahshar mein koi tabir kya karta
kisi zulf-e-pareshan ka main ek KHwab-e-pareshan tha

qayamat tak pas-az-murdan rahi ek Tis si dil mein
wo kahte hain ki paikan tha main kahta hun ki arman tha

huzur-e-bulbul-e-kilk-e-'bayan' kis tarah khulte munh
ki bu-e-ghuncha san mahjub nutq-e-har-suKHan wan tha