اردو हिंदी
Sar-e-rah kuchh bhi kaha nahin kabhi uske ghar main gaya nahin | Shaahi Shayari
sar-e-rah kuchh bhi kaha nahin kabhi uske ghar main gaya nahin

Ghazal

Sar-e-rah kuchh bhi kaha nahin kabhi uske ghar main gaya nahin

Bashir Badr

;

sar-e-rah kuchh bhi kaha nahin kabhi us ke ghar main gaya nahin
main janam janam se usi ka hun use aaj tak ye pata nahin

use pak nazron se chumna bhi ibaadaton mein shumar hai
koi phul lakh qarib ho kabhi main ne us ko chhua nahin

ye KHuda ki den ajib hai ki isi ka nam nasib hai
jise tu ne chaha wo mil gaya jise main ne chaha mila nahin

isi shahr mein kai sal se mere kuchh qaribi aziz hain
unhen meri koi KHabar nahin mujhe un ka koi pata nahin