اردو हिंदी
Sar-e-niyaz wo sauda nazar nahin aata | Shaahi Shayari
sar-e-niyaz wo sauda nazar nahin aata

Ghazal

Sar-e-niyaz wo sauda nazar nahin aata

Najeeb Ahmad

;

sar-e-niyaz wo sauda nazar nahin aata
wo jaisa pahle tha waisa nazar nahin aata

wo raat thi to basar ho gai bahar-surat
agar ye din hai to kaTta nazar nahin aata

ye kis ki oT mein jalte rahe ruton ke charagh
kisi gali mein ujala nazar nahin aata

rukun to hujla-e-manzil pukarta hai mujhe
qadam uThaun to rasta nazar nahin aata

hawa mein rui ke galon ki tarah uDta hai
mujhe wo qaul ka pakka nazar nahin aata

'najib' chaar taraf nafraton ki ThaThen hain
chaDha hua ho to dariya nazar nahin aata