sar-e-niyaz jhukana koi mazaq nahin
ana-e-qalb miTana koi mazaq nahin
labon pe aah ba-har-haal aa hi jati hai
jigar ki choT chhupana koi mazaq nahin
nuqush-e-qalb miTane se miT nahin sakte
kisi ko dil se bhulana koi mazaq nahin
hansi hansi mein bhi kya kya gurez-pai hai
tarashte hain bahana koi mazaq nahin
jahan adab mein siyasat chali jati hai
wahan bhi rang jamana koi mazaq nahin
nikalte ho zaminen nai nai lekin
radif ka bhi nibhana koi mazaq nahin
jo ahl-e-ilm hain kanTe hain un ki rahon mein
ab un ko 'taj' haTna koi mazaq nahin

Ghazal
Sar-e-niyaz jhukana koi mazaq nahin
Riyasat Ali Taj