اردو हिंदी
Sar-e-nigah bisat-e-jahan to kuchh bhi nahin | Shaahi Shayari
sar-e-nigah bisat-e-jahan to kuchh bhi nahin

Ghazal

Sar-e-nigah bisat-e-jahan to kuchh bhi nahin

Hadis Salsal

;

sar-e-nigah bisat-e-jahan to kuchh bhi nahin
jahan-e-KHud-nigar-o-kaj-guman to kuchh bhi nahin

darud bar-sar-e-karb-e-taghayyur-e-mausam
gham-e-siyasat-e-ahl-e-jahan to kuchh bhi nahin

tamam asl-e-suKHan dad-e-KHaliq-e-KHama
kamal-e-mubtadi-e-nim-jaan to kuchh bhi nahin

tamam husn-e-suKHan KHubi-ha-e-nukta-waran
jamal-e-dida-e-girya-kunan to kuchh bhi nahin

ba-pesh-e-jurat-e-tark-e-ummid-e-yas faza
bisat-e-alam-e-ummid-e-an to kuchh bhi nahin

ummid-war ruKH-e-dida-baKHs-e-aina-ha
qarib-o-dur nigah juz guman to kuchh bhi nahin

sukut-e-arz-o-sama parda-ha-e-shorish-e-dil
khula ki ghalghala-e-al-aman to kuchh bhi nahin

sar-e-basit-e-jamal-e-mujassam-e-ijmal
tahayyur-e-nigah-e-ashiqan to kuchh bhi nahin

sukun-e-KHwab-e-faza ranj-e-raegani-e-umr
zayan-e-bais-e-sad-ha ziyan to kuchh bhi nahin

shuur-e-chashm-o-dil-o-jaan nisari-e-ashiq
agar hai KHaliq-e-nam-o-nishan to kuchh bhi nahin

safir-e-KHush-KHabar-e-ku-e-yar-e-na-maujud
nahin wajud-e-fareb-e-guman to kuchh bhi nahin

KHamoshi-e-rah-e-pur-samt-e-yak musafir-e-ju
nahin hai nala-e-pa-bast-gan to kuchh bhi nahin

salah-e-KHush-guzaran qatil-e-tamanna hai
magar waqar-e-tamanna yahan to kuchh bhi nahin