sar-e-KHayal main jab bhul bhi gai ki main hun
achanak ek ajab baat ye suni ki main hun
talash kar ke mujhe luTne ko tha koi
mere wajud ki KHushbu pukar uThi ki main hun
ki tirgi mein pali aankh ko yaqin aa jae
zara buland ho aahang-e-raushni ki main hun
wo KHali jaan ke ghar luTne ko aaya tha
mare adu ko KHabar aaj ho gai ki main hun
na-jaane kaisi nigahon se maut ne dekha
hui hai nind se bedar zindagi ki main hun
lapeT do saf-e-matam uTha rakho nauhe
pukarta sar-e-mahshar suna koi ki main hun
Ghazal
Sar-e-KHayal main jab bhul bhi gai ki main hun
Saima Esma