sar-e-kakul ko na o shoKH-e-trahdar tarash
kaT khaega ye uD kar na sar-e-mar tarash
ab to sar hote hain das bis ke har rose qalam
KHub ye tu ne nikali hai jafa-kar tarash
KHat to ye main ne hi likkha tha KHatawar hun main
hath qasid ke liye tu ne sitamgar tarash
mah-e-nau chum hi le us ko falak se gir kar
phenk dewe jo wo naKHun pas-e-diwar tarash
tezi-e-tegh hai kya chaal mein us kafir ki
saikDon dil diye us ne dam-e-raftar tarash
qatl karta hai to kar shauq se 'tanwir' ko tu
ranj-amez na baaten but-e-ayyar tarash

Ghazal
Sar-e-kakul ko na o shoKH-e-trahdar tarash
Tanvir Dehlvi