sar-e-iza-rasani chal rahi hai
tabiat mein girani chal rahi hai
isi dil ke hazaron waswason mein
wahi dhaDkan purani chal rahi hai
chala jata hai har ek chal-chalaw
jo shai hai aani-jaani chal rahi hai
main barg-e-KHushk hun hamrah mere
hua ki bad-gumani chal rahi hai
badan mein sans ki surat yaqinan
koi naql-e-makani chal rahi hai
bahut hi muKHtasar si zindagi mein
baDi lambi kahani chal rahi hai
abhi wo sath hai mere so mujh par
KHuda ki mehrbani chal rahi hai
sabhi kirdar thak kar so gae hain
magar ab tak kahani chal rahi hai
KHayal aata tha us ka jis rawish par
ab us par be-KHayali chal rahi hai
Ghazal
Sar-e-iza-rasani chal rahi hai
Khaavar Jilani