sar-e-darbar KHamoshi tah-e-darbar KHushiyan hain
dar-o-diwar ki baaten dar-o-diwar KHushiyan hain
tujhe takna tujhe sunna tera hansna machal jaana
hamare gham ke aangan mein faqat do-chaar KHushiyan hain
kai hain dastanen dafn yan yaron ke sine mein
kahin par gham hai KHushiyon mein kahin gham-KHwar KHushiyan hain
amir-e-shahr kya jaane jo guzri hai gharibon par
yahan par gham ke phere hain wahan har bar KHushiyan hain
na jab tak hum samajh paen hamara maqsad-e-taKHliq
jahan mein jo mayassar hon sabhi be-kar KHushiyan hain
baDi mehnat se likkhi hai sar-e-qirtas jo main ne
kahani mein jo rakkhe hain sabhi kirdar KHushiyan hain
jo mujh pe shart ho ahmad main puri kar dikhaunga
sar-e-inkar gumnami pas-e-iqrar KHushiyan hain
Ghazal
Sar-e-darbar KHamoshi tah-e-darbar KHushiyan hain
Hassan Ahmad Awan