اردو हिंदी
Sar-e-bazm meri nazar se jab wo nigah-e-hosh-ruba mili | Shaahi Shayari
sar-e-bazm meri nazar se jab wo nigah-e-hosh-ruba mili

Ghazal

Sar-e-bazm meri nazar se jab wo nigah-e-hosh-ruba mili

Shadan Indauri

;

sar-e-bazm meri nazar se jab wo nigah-e-hosh-ruba mili
kabhi zindagi ka maza mila kabhi zindagi ki saza mili

kai manzilon se guzar gae to hamein ye rah-e-wafa mili
kahin dil mila kahin dard-e-dil kahin dard-e-dil ki dawa mili

tumhein yaad hai mere sathiyo ki bichhaD gae the wahin se hum
tumhein dard-e-dil ki dawa mili mujhe dard-e-dil ki dua mili

na baha sake kabhi ashk bhi teri barhami ke KHayal se
gae le ke jalte charagh hum to hamesha tez hawa mili

nahin gham jo mujh ko zamane mein koi gham ki dad na de saka
magar un ke dil pe likhi hui meri dastan-e-wafa mili

dil-e-kaenat taDap uTha wo shuur-e-naghma ata kiya
jo sada-e-saz-e-hayat se mere saz-e-dil ki sada mili

jo zamana bhul gaya to kya ki chalan yahi hai zamane ka
magar un ke dil pe likhi hui meri dastan-e-wafa mili