sar bhi hai pa-e-yar bhi shauq-e-siwa ko kya hua
jurat-e-dil kidhar gai laghzish-e-pa ko kya hua
hasrat-e-afw kya hui jurm-o-KHata ko kya hua
samne hai dar-e-karam dast-e-dua ko kya hua
waqf-e-mazaq-e-justuju dida-o-dil hain ab kahan
manzil shauq-e-pa hi ki ghairat-e-pa ko kya hua
jazb-o-asar se ban gaya aur bhi dushman aasman
kar diya raaz-e-dil ayan aah-e-rasa ko kya hua
kal to ba-hadd-e-shikwa thin ishq ki bad-gumaniyan
ab na nadamaten hain kyun shikwa-sara ko kya hua
shair-e-bazm-e-aql-o-hosh han koi aur naghma-sarosh
dil ki sada hai kyun KHamosh dil ki sada ko kya hua
yun to hazar naqsh hain safha-e-kainat par
us ka pata nahin magar naqsh-e-wafa ko kya hua
gum-shuda-e-jamal hun dil hi ko sath ai 'shakil'
mujh ko bhi le ke kho gaya rah-numa ko kya hua
Ghazal
Sar bhi hai pa-e-yar bhi shauq-e-siwa ko kya hua
Shakeel Badayuni