sar-ba-zanun koi fankar alag baiTha hai
main yahan hun mera kirdar alag baiTha hai
shahar mein nama-e-taqdis likha jaega
mutmain hun mera inkar alag baiTha hai
teri tarif mein sab bol rahe hain lekin
is pe hairat hai ki mear alag baiTha hai
ghair-mahfuz hain diwar banane wale
aur shahanshah sar-e-minar alag baiTha hai
ab dabaoge to patthar se nikal aaegi
ek aawaz ka haqdar alag baiTha hai
Ghazal
Sar-ba-zanun koi fankar alag baiTha hai
Ahmad Kamal Parwazi

