sar-ba-sar yar ki marzi pe fida ho jaana
kya ghazab kaam hai raazi-ba-raza ho jaana
band aankho wo chale aaen to wa ho jaana
aur yun phuT ke rona ki fana ho jaana
ishq mein kaam nahin zor-zabardasti ka
jab bhi tum chaho juda hona juda ho jaana
teri jaanib hai ba-tadrij taraqqi meri
mere hone ki hai mearaj tera ho jaana
tere aane ki bashaarat ke siwa kuchh bhi nahin
bagh mein sukhe daraKHton ka hara ho jaana
ek nishani hai kisi shahr ki barbaadi ki
narawa baat ka yak-laKHt rawa ho jaana
tang aa jaun mohabbat se to gahe gahe
achchha lagta hai mujhe tera KHafa ho jaana
si diye jaen mere honT to ai jaan-e-ghazal
aisa karna meri aankhon se ada ho jaana
be-niyazi bhi wahi aur talluq bhi wahi
tumhein aata hai mohabbat mein KHuda ho jaana
azhdaha ban ke rag-o-pai ko jakaD leta hai
itna aasan nahin gham se riha ho jaana
achchhe achchhon pe bure din hain lihaza 'faris'
achchhe hone se to achchha hai bura ho jaana
Ghazal
Sar-ba-sar yar ki marzi pe fida ho jaana
Rehman Faris