sar-ba-sar shaKH-e-dil hari rahegi
ta-abad aankh mein tari rahegi
main ne qissa hi pak kar Dala
ishq hoga na KHud-sari rahegi
aks bante rahenge pesh-e-nazar
surat-e-aina-gari rahegi
satr-dar-satr KHun jalaya hai
lafz mein raushni bhari rahegi
KHamushi oDh li daraKHton ne
aarzu-e-suKHan-wari rahegi
koi manzil talash li jae
ab kahan tak ye be-ghari rahegi
bagh mein hai qayam ka mauqa
sab parindon se dilbari rahegi
kya hamesha bhaTakna hai mujh ko
kya hamesha subuk-sari rahegi
zindagi se Dari rahungi main
zindagi sae se Dari rahegi
chand agar Dub bhi gaya 'mahin'
taq par chandni dhari rahegi

Ghazal
Sar-ba-sar shaKH-e-dil hari rahegi
Rasheeda Maheen Malik