sar-ba-sar badla hua dekha tha kal yar ka rang
KHub pahna hai naya us ne bhi is bar ka rang
sukhe patton ki tarah uDta hua dur talak
main ne jate hue dekha mere kirdar ka rang
ab jo aaya hun to KHamosh to jaunga nahin
ab uDa kar ke hi jaunga main do chaar ka rang
koi kah de ki jhuka do to jhuka dun main sar
itna kachcha bhi nahin hai meri dastar ka rang
koi puchhega to ab khul ke bata sakta hun
mere dildar sa hota hai ji dildar ka rang
bandh kar main ne badan yaad ke dhagon se kabhi
muddaton ruswa kiya ruh-e-talabgar ka rang
aur phir lauT ke wapas hi nahin ja pae
dekhne aae the hum bhi kabhi is par ka rang
lauT to aai hai sahil pe magar KHauf mein hai
kashti ki aankh se utra nahin manjhdar ka rang
chaaragar KHud hai pareshan ke 'sawan' kaise
badla bimar ne bimar se bimar ka rang
Ghazal
Sar-ba-sar badla hua dekha tha kal yar ka rang
Sawan Shukla