sar apne ko tujh par fida kar chuke hum
haq-e-ashnai ada kar chuke hum
tu samjhe na samjhe hamein sath tere
jo karni thi ai bewafa kar chuke hum
KHuda se nahin kaam ab hum ko yaro
ki ek but ko apna KHuda kar chuke hum
main puchha mera kaam kis din karoge
to yun munh phira kar kaha kar chuke hum
ghuras le tu ab un ko chire mein apne
tamasha-e-zulf-e-dota kar chuke hum
tu jawe na jawe jo karni thi hum ko
samajat teri ai saba kar chuke hum
na bolenge pyare teri hi sunenge
tu dushnam de ab dua kar chuke hum
kabhu kaam apna kisi se na nikla
bahut KHalq ki iltija kar chuke hum
laDi 'mushafi' aankh jis se ki apni
par aaKHir use aashna kar chuke hum
Ghazal
Sar apne ko tujh par fida kar chuke hum
Mushafi Ghulam Hamdani