اردو हिंदी
Sapne ki wadi ko taj kar rup-nagar mein aaya kar | Shaahi Shayari
sapne ki wadi ko taj kar rup-nagar mein aaya kar

Ghazal

Sapne ki wadi ko taj kar rup-nagar mein aaya kar

Majid-ul-Baqri

;

sapne ki wadi ko taj kar rup-nagar mein aaya kar
din ke phaile kaghaz par apni taswir banaya kar

dhup kaDi hai nanga sar hi sahraon se guzrunga
apne dupaTTe ke pallu ka mere sar par saya kar

ek samundar ki maujon ko ek bhanwar mein rahne de
nili aaankhon ke sagar ko aaise mat chhalkaya kar

honT ki surKHi jhank uThti hai shishe ke paimanon se
miTTi ke bartan mein pani pi kar pyas bujhaya kar

dil ki aawazon ka gumbad aabaadi mein phahTta hai
dur kisi KHamosh kuen mein munh laTka kar gaya kar

bis baras se ek tare par man ki jot jagata hun
diwali ki raat ko tu bhi koi diya jalaya kar

'majid' ne bairag liya hai koi aisi baat nahin
idhar udhar ki baaten kar ke logon ko samjhaya kar